Wednesday, December 24, 2008
Humein Aur Jeene Ki Chahat Na Hoti
Lyrics Humein Aur Jeene Ki Chahat na Hoti
Kishore Kumar Version:
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti -2
Agar tum na hote, agar tum na hote
(Tumhen dekhke to lagta hai aise
Bahaaron ka mausam aaya ho jaise) -2
Dikhaayi na deti andheron mein jyoti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki..
(Hamein jo tumhaara sahaara na miltaa
Bhanvar mein hi rehte kinaara na miltaa) -2
Kinaare pe bhi to leher aa duboti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki..
Lata Mangeshkar Version:
Hamein aur jeene ki chaahat na hoti -2
Agar tum na hote, agar tum na hote
(Tumhen kyaa bataaoon ke tum mere kyaa ho
Meri zindagi ka tum hi aasra ho) -2
Main aasha ki ladiyaan, na rah rah piroti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki..
(Har ik gham tumhaara sahenge khushi se
Karenge na shikwaa kabhi bhi kisi se) -2
Jahaan mujh pe hastaa, khushi mujhpe roti
Agar tum na hote, agar tum na hote
Hamein aur jeene ki..
Sad Version (Kishore Kumar):
Na jaane kyoon dil se ye aawaz aayi
Milan se hai badhke tumhaari judaai
In aankhon ke aansoo, na kehlaate moti.
Agar tum na hote, agar tum na hote -2
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment